Friday, January 26, 2007

Kya Koi Bharat wasi hai

Koi bengali Koi Punjabi
aur koi madrasi hai
Gandhi ki is dharti par
kya koi bharatwasi hai

Kahin khoon ki nadiyan bahti
charo taraf udasi hai
gautam ki yeh karma bhoomi
kyun bani khoon ki pyasi hai

kuch bas jaati ki chinta karte
baaki dharma ke vishwasi hai
nanak ki woh gyan dhwaniyan
fir kyun nahin uth paati hai

koi dhan ke peeche bhaagta
koi lanka ka nivasi hai
krishna ke un karma vachan me
na bachi aastha zara si hai

ruko jaago aur socho
pehchaano apne jeevan ko
aur poocho apni aatma se
kyun ban baithi woh dasi hai

Gandhi ki is dharti par
kya koi bharat wasi hai

© rahuljha

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape

2 comments:

रंजू भाटिया said...

ruko jaago aur socho
pehchaano apne jeevan ko
aur poocho apni aatma se
kyun ban baithi woh dasi hai

Gandhi ki is dharti par
kya koi bharat wasi hai

bahut khoob Rahul ..aaj in lines ko padh ke bahut hi accha laga
bahut hi accha likha aapne

Unknown said...

subah uthi aur dekha
jis paid ko lagaya tha
wo aaj tang lag raha tha
nahi samghay.
yah wahi desh hai jisay meray
bujurgo ne boya tha fhool badhnay ke liy
mager hum kaat rahay hai,kantay badhanay ke liy.